Sunday, 21 September 2025 »  Login
in

Shayari.......

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Shayari.......

by Kuch Ashaar Aapki Khidmat Mey. » Thu Feb 02, 2006 4:10 pm

Pehle to mein aap sabhi hazraat ko apna Salaam pesh karta hoon..aur aap sab ka tah-e-dil se is sher-o-shayari ki mehfil mey isteqbal karta hoon...meri koshish ye hai ke aap sab ko kuch aise sher sunao aur aapse aise sher sunoo jo aap sabko dil se pasand ho.........



to lijiye Kuch Ashaar Aapki Khidmat Mey



***********

Tum milo na milo milne ka gham nahi

Tum paas se guzar jao to milne sey kam nahi

Maana key tumhe hamari khadr nahi

Par unsey pooche jinhe hum haasil nahi



************



Khuda sey maine ek dua maangi

Dua mein apni maut maangi

Khuda ne kaha maut to tujhe mein de sakta hoon

Magar uska kya karoon jisne dua mein teri lambi umr maangi



************



Sooni zindagi mey hulchal mehsoos hui

Bejaan dil ki aaj dhadkan mehsoos hui

Jaane kyon aaj aisa laga

Shayad aapki kami mehsoos hui



************



Har dhadakte dil ke peeche koi baat hoti hai

Har dard-e-dil ke peeche kisi ki yaad hoti hai

Aapko maloom ho na ho

Aapki har khushi ke peeche hamari dua hoti hai



************



Aankhon ki zuban woh samajh nahi pate

Honth magar kuch kah nahi pate

Apni bebasi kis tarah kahen

Koi hai jiske bina hum rah nahi pate



************



Zindagi sabko milay zaroori to nahi,

mohabbat sabko milay zaroori to nahi,

kuch log bahut yaad aate hai zindagi mey,

Woh bhi hume yaad kare ye zaroori to nahi...



************



Aap logon ke jawab aur Ashaar dono ka mujhe intezaar rahega.....
Kuch Ashaar Aapki Khidmat Mey.
Registered User
 
Posts: 6
Joined: Thu Jan 19, 2006 9:53 pm

Jawab Mein ... Yeh Ashaar Aapki "Ishtyle" Mein...

by HH » Thu Feb 02, 2006 4:34 pm

Shukriya "KAAK"! ... Jawab Mein ... Yeh Ashaar Aapki "Ishtyle" Mein...


************

Khuda sey maine bhi ek dua maangi
Dua mein apki badhat maangi
Khuda ne kaha manzur zarur karta hoon
"KAAK" kaayam rakhe yeh Shayari yeh Ashaar!

************

Zindagi sabko milay ... zaroori se zaari rahey,
mohabbat sabko milay ... zaroori se zaari rahey,
kuch log bahut yaad aate ... hai zindagi mey,
Woh bhi hume yaad kare yeh zaroori ... se zaari rahey!

************




Khuda Hafiz, "KAAK" ! 8) :)
Build Heaven & Earth Links!
User avatar
HH
Level 1 Deity
Level 1 Deity
 
Posts: 6245
Joined: Fri Mar 05, 2004 8:40 am

Good effort

by Whiz » Fri Feb 03, 2006 11:48 pm

Very good effort indeed. You do have the spark. IMHO.
User avatar
Whiz
Registered User
 
Posts: 26
Joined: Tue Jan 10, 2006 11:08 pm

by It » Sat Feb 04, 2006 7:55 am

Don't you have some nice happy poetry?
It
Registered User
 
Posts: 21
Joined: Mon Nov 14, 2005 11:24 pm

by rock_26iin » Sat Feb 04, 2006 11:23 am

It wrote:Don't you have some nice happy poetry?




i feel happy poetry is more tough to write than sad poetry. However, i also believe that poetry is just expression of ones feelings so the trials that one person has been through in life, his feelings, are then put on paper. Somehow, for me, its easier to do that with sorrow than with joy.
Things are supposed to happen the way they happen. And the reason they happen the way the happen is because you try to make them happen in a certain way and may or may not be succesful.
User avatar
rock_26iin
Level 1 Deity
Level 1 Deity
 
Posts: 6111
Joined: Wed Feb 04, 2004 12:42 pm
Location: L0ST !N $PACE

by Shayaris for V'Day » Mon Feb 06, 2006 3:43 pm

hello friends,



as per your request i have posted some shayaris (romantic)..check that

in my new post........



Topic: Some shayaris for special ocassion

Valentines Day special shayaris



hope you like them.....
Shayaris for V'Day
Registered User
 
Posts: 6
Joined: Thu Jan 19, 2006 9:53 pm

Slap ... Cry ... Sad ... Cheer!

by HH » Mon Feb 06, 2006 5:04 pm

rock_26iin wrote:... happy poetry***** is more tough to write than sad poetry^^^^^. ... sorrow '''' ... joy ~~~~~.





Be Slapped ... Cry ... Easy To Be Sad^^^^^ ... :cry:
Slap ... Showed Anger ... Ashamed ... Easy To Be Sad '''''... :(
Clap ... To Cheer ... Hard To Be Happy! ~~~~~ :o
Be Clapped ... Hard To Make You Happy! ***** :x
Build Heaven & Earth Links!
User avatar
HH
Level 1 Deity
Level 1 Deity
 
Posts: 6245
Joined: Fri Mar 05, 2004 8:40 am

dukh

by shekkhar » Wed Feb 08, 2006 7:26 am

Dukh mein jo happiness hai...jo khushi hai...wo kisiko bhi kahin nahi mil sakta yeh mera personal view hai........everybody will have different feelings.......magar dukh se hi khushi ke phool khilte hain........







shekhar

"There are only two kinds of men; the DEAD and the DEADLY" And I am the second one !!!
shekkhar
Registered User
 
Posts: 6
Joined: Thu Jan 19, 2006 6:59 am
Location: Hyderabad

Dukh ... happiness ... "Unhappiness" ... "Suk

by HH » Wed Feb 08, 2006 11:15 am

shekkhar wrote:Dukh***** ... happiness^^^^^... dukh***** se hi khushi ke phool''''' khilte hain ........





***** "Unhappiness" :arrow: ^^^^^ "Sukh" ... :? :roll: :!: :?: ... MORE :arrow: :arrow: :arrow: ''''' "Flowers" ... :o :roll: ...
Build Heaven & Earth Links!
User avatar
HH
Level 1 Deity
Level 1 Deity
 
Posts: 6245
Joined: Fri Mar 05, 2004 8:40 am

Chup ke Chup ke Ro Lena

by HH » Sun Mar 19, 2006 4:04 pm

Chup ke Chup ke Ro Lena *****

Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho

Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chup ke Chup ke Ro Lena


Jab Ankhein Bhegi Hon Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain

Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chup ke Chup ke Ro lena


Jab Palkein Karab Se Mondi Hon Aur sab Samjhein Tum Sote Ho

Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chup ke Chup ke Ro Lena


Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi

Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chup ke Chup ke Ro Lena


Jab Barish Chehra Dho Dale Aur Ashk Bhi Bondein Lagti Hon

Who Lamha Hargiz Mat Khona Aur Chup ke Chup ke Ro Lena

Visit:
http://www.apnahyderabad.com/forums/for ... =last#1625




Lekin Aisa Kyon***** Khul ke Khulke Has Lena ... KOSHISH To Karnaa Zarra ... :wink:
Build Heaven & Earth Links!
User avatar
HH
Level 1 Deity
Level 1 Deity
 
Posts: 6245
Joined: Fri Mar 05, 2004 8:40 am

Zindagi Hai Ek Safar ... (Ghazal)

by HH » Sun Apr 16, 2006 12:03 pm

Zindagi Hai Ek Safar ***** - Asif Zaidi Asif

Zindagi hai ek safar aur yeh safar mushkil main hai
Iss safar main har musafir koshish-e-manzil main hai

Jis sukun-e-dil ki khatir mehfilen sab dekh lein
Woh sukun-e-dil kahin hai to teri mehfil main hai

Hain chaman main khaar hi bikhrey huay charon taraf
Intizar-e-fasle gul hai aur chaman mushkil main hai

Bekhudi mein main ne bhi duniya se tora waasta
Zindagi meri usi din se badi mushkil mein hai

Ek nazar main jaan ley kar mujh se boley “kya hua”
Ai khuda yeh bholpan to bas merey qatil main hai

Josh main aab-e-rawan ek taiz dhara hi bana
Meri kashti doobne ko halqa-e-saahil main hai

Masjid main aake kisqadar rahat mili Aye dil na poochh
Ab to khuda ka saath hai us ki raza iss dil main hai

Door hai manzil agar to kyon pareshan ho asif
Lazzat-e-sehra nawardi doori-e-manzil main hai

Visit:
http://www.mushaira.org/rp.php?code=1475




***** "Suffer" ... Shaayad ... :wink:
Build Heaven & Earth Links!
User avatar
HH
Level 1 Deity
Level 1 Deity
 
Posts: 6245
Joined: Fri Mar 05, 2004 8:40 am



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 12 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
hyderabad shariya
hyd shayri
isteqbal shayari
shayaris on hyd
hyd shairy
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.