Salaam guys these are some typical
conversations of Hyderbaadi women. I bet u will
laugh atleast 15 min with each of them.
ENJOY THEM.........................
MOM WHILE TEACING HER KID
Kitta padaana bhai iskoo. 4 ghantay say sar
khapaariun tho bhi yeh hattti [elephant] ke bhejay
mein baath nai ghus ri . Kyaa padta ki kyaa hai
ki,
naam badnaam karta yeh potta. poori izzat mitti mein
mil jaaingi baawa ki.
Subah say shaam tak anday khataa naa, report mein
bhi anday lata.
Nai pad ke rickshaw chalaata ki kya hai ki.
AND when the kid tries to lift his head from the
book to look at her,,she reacts with kaan marodi
[pinch his ear]
Yaan kya dekhra nichche dekh ke
padd!!
BIBI NAUKAR SE
Hau re Mukhtar, Tarkaari lao bole to kaan margaya
thaa 2 ghantay say? , mein samjhi bandi pay say bole
tho mandi samjhaa ki kyaa hai ki. Saab ke tiffin ku
der hori na.
Arey nai bibi woh gafoor bhai ki bandi nai thi toh
khaja miya ki dukaan se kiraaye ki cykil [cycle]
leke aagey se leke aaya.
Ujaad! matthi pado teray jhooth pe!,,,Teray
bharosay pay baithay tho bhukkay marjaatay na ray.
RICHSHAW CHUKAANA [VERY TYPICAL]
O rickshaw, chaltay?. Kaan jaana hai.
Aji pathergatti, madina building kay saamnay
utar
dayo. Kittey sawari hain amma ?.
Do janay aur ek bacha. Chaar rupiye hotay amma.
Kaiku bawa rickshaw hai ya tumara aatoe [auto].
Nai amma wahan say wapsi ki sawari nai milti
naa
amma.
Nai bawa tum aaisa karo raat ki raat hamaray ghar
mein padjao, baatan karrai, sawari nai mili tho hum
kyaa karnaji? dono taraf ka kiraya hum saich wasool
karta shaid paa-bichara.
Jaando apa aagay chalo bhoth mil jaatay rickshay.
Allah miya chupkaich ricksha wala nai banaya, aatoe
chalaata tho kyaa karta tha ki.
BRIDE'S QAALA TO HER MOTHER
Aji aapa tumari samdhan koo kyaa huwa? itta bada
moon bana kay baithain. Itti us say jakay
boli
chaliye khana nikal gaya to buddi sadi surath bana
kay mundi palta li. Ai ab kya hona katay isku do
lakh joday kay aur poora jahez - ghar mein nai aye
uttha samaan diye naa . woh puranihaveli ki galli
mein gaadi ghus ti nai magar maruti bhi diye, mein
pehlaich boli zara maloom karo logaan bhoth taiz
mizaaj kay dikh rain magar tum aisi jaldi karay aapa
jaisa bachi
tum ko uppar padi thi . Ab dua karo
dulaa achi tabiyath ka niklo bolkay, meray ku to
unay bhi amma-bhainon mein ghusaawa dikhraa.
TWO LADIES GOSSIPING
Two ladies conversing while cutting saem ki phalli
-- Ayee laoji aapa mein bhi kaT-tiyun. Same ki
phalli Kalich pakaye the shaad na ji?
Ayee Ruqia bano kya to bhi hogaya tumhare ku,
woh
GaNwar ki phalli thi.
Ayee KaiKu to bhi Phalliyan khaarein aap logaan
itte? ...........
Aji Ruqiya banu sunayein tumein.
Kya to bhi ji aapa.
Ayee Ghousia bi ki beti kaalege [college] ku
jariyun bolko roz kon ki potte ke saath Kaan Kaan ki
phir ko aati katey.
Ayeee sahi bhi?, kaisa malum hua tumhare ku?
Aji hamara Arshad Nampally pe baaghyaam [public
garden] kaney dekha katey, unhe bolra Ammi Luna po
achcha Kammar mein haath dal ke baithi thi katey,
kitta bada dida hogaya ji uska.
Bhot utaani padi ji aapa unhe. Amma ki zabaan
dekho itti badi hai phir, logon ku namaan rakhtiye,
khud kaisi paal palri.