Friday, 12 September 2025 »  Login
in

shair or shaayari

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

shair or shaayari

by mai shaayar toh nahi » Fri Aug 11, 2006 2:22 am

bhaiyyo aur unki behno mai aaj se ye shaayari waala topic nikaalna chahunga pasand aaye toh achcha hai aur na pasand aaye toh mera kya bigaad loge?hahahahha.....toh mai yeh topic kuch shair ke saath shuru karoonga

1 koi dikha ke roye,koi chupa ke roye..hume rulaane wale hume rula ke roye,,,,,,,,marne ka mazaa toh tab hai yaaro jab apna qaatil bhi janaaze par aake roye

2 mere pyar ko duniya me koi samajh na paaya,rota tha jab tanha toh koi mere saath na aaya......mita diya khud ko uske pyar me,aur log kehte hai mujhe pyar karna na aaya

3 dil me deep jalaane se kya faayda?raakh me aag lagaane se kya faayda?jisko hamaari yaad nahi aati usko ehsaas dilaane se kya faayda?

4 lamha lamha sanse khatam ho rahi hai,zindagi maut ke pehlu me so rahi hai.us bewafa se na poocho mere maut ki wajaah,woh toh bass zamaane ko dikhaane ke liye ro rahi hai

5 dil ne kahaa aankh se "dekha karo kam kyu ki dekhto ho tum tadapte hai hum"aankh ne kaha dil se"soncha karo kam kyu ki sonchte ho tum aur rote hai hum"
User avatar
mai shaayar toh nahi
Registered User
 
Posts: 129
Joined: Mon Jul 24, 2006 6:50 pm

by dhakkan » Fri Aug 11, 2006 10:47 am

wah wah wah bhaou bhaou
dhakkan
Registered User
 
Posts: 382
Joined: Sat Apr 15, 2006 7:43 pm

by fanaa shayri » Fri Aug 11, 2006 11:09 am

fanaa!!!!!!!!!!!!!!!!!!





E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,

Use Mera ya Mujhe Uska Karde.

Bahut Dukh Sahe He Maine,

Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.

Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,

Judai Ke Safar Ko Kum Karde.

Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,

Use Utna Kareeb Karde.

Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,

To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.



Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaye

Tere Ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaye



Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,

sachi chahat to sada bezuban hoti hai,

pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,

suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai….



Phool hun Gulaab ka

Chameli ka mat samjhna

Aashiq hun aapka

Apni Saheli ka mat samjhna



Dur Humse Jaa Paoge Kaise,

Humko Bhool Paoge Kaise.

Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,

Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..



Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,

Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.

Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,

Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte



Rone De Tu Aaj Humko, Tu Aankhe Sujane De

Baho Mein Le Le Aur, Khud Ko Bheeg Jane De

Hai Jo Seene Mein Quaid Dariya, Wo Choot Jayega

Hai Itna Dard Ki, Tera Daaman Bheeg Jayega



Adhuri saans thi dhadkan adhoori thi adhooren hum

magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain hum



fanaa shayri
Registered User
 
Posts: 382
Joined: Sat Apr 15, 2006 7:43 pm

hahahahah

by dhakkan » Fri Aug 11, 2006 2:49 pm

ye kya hai yaaro indoabo mera naam kaiku akh liye tum?mai sabse bada dhakkan hu na bhai!!!!aur achchi shayari likhunga jald se jald
User avatar
dhakkan
Registered User
 
Posts: 129
Joined: Mon Jul 24, 2006 6:50 pm

by in » Fri Aug 11, 2006 3:36 pm

so aap sharmaarein aap ke naam se





wait............



by tonight i'll post very motivational poem



wait
in
Registered User
 
Posts: 382
Joined: Sat Apr 15, 2006 7:43 pm



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 1 guest

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.