Tuesday, 22 April 2025 »  Login
in

Do jodi laaliye kapdey to bas hai aur kuch nakko

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Do jodi laaliye kapdey to bas hai aur kuch nakko

by Bhirr Ustaad » Tue Jun 25, 2002 12:30 am

Nayi Hazal pesh hai kaisi dikhai boliye zaroor

Aji jaanam zara dastar jhatakney bahar aajao

meri kismat ke taaroun pe latakney bahar aajao

woh sadey aath ku har roz jaatey they jidhar se tum

usi Hashim nagar mey phir bhatakney bahar aajao

mohobbat ka bichaya jaal mai bahar chabutrey pey

yeh mere jaal me ghus ke atakney bahar aajao

Dekho aagaya aakhir me paani ka wohi Tanker

GhaDa lekey yeh naddi pe matakney bahar aajao

hai samdani bhi aaya aas me, tum aayinge bolkey

meresey milkey tum isku patkaney bahar aajao

do jodi laaliye kapdey to bas hai aur kuch nakko

mere sangaath tum hallu satakney bahar aajao

yeh nazuk hai kali dil ki, zara si dhoop bhi dedo

merey sansoun ki garmi se chatakney bahar aajao

mai laaya sharbat-e-dil milakey guD hasrat ka

mohobbat se zara isku gatakney bahar aajao

yeh one-sided hai chakkar ye samjhrey tumarey bhai

tum aake un ki aankhoun mein khatakney bahar aajao

mai khush tumku rakhoonga zindagi bhar, O meri rukhsana

merey haathoun ke jhooloun po latakney bahar aajao

mai khaali pair apne yun hila ke thak gaya janoo

meri maandi pe sar apna rakhaney bahar aajao

mai baazi haar jaaroun, thairey thairey thak ke marjaroun

meri kismat ki baazi ku palatney bahar aajao

Bhirr Ustaad
Guest

Do jodi laaliye kapdey to bas hai aur kuch nakko

by Bhirr Ustad » Tue Jun 25, 2002 12:30 am

Bhirr Ustad
Guest

Do jodi laaliye kapdey to bas hai aur kuch nakko

by Radha » Thu Jun 27, 2002 12:30 am

tum ye mat samajhna ke kuch hum me dam nahi
qismat se agar hogaya kuch, is ka gham nahi
nadaan hai tum hum ko samajh rahe hain kamzoor
haathi agar gire to bhi ghode se kam nahi.
Radha
Guest

Do jodi laaliye kapdey to bas hai aur kuch nakko

by Bhirr ustaad » Fri Jun 28, 2002 12:30 am

Aji Radha bibi, agar aap waqai me hatthi ke uttey hai to zara hamare se door raho, kaiku boleto apne ku aapke size se koi ehteraaz nai hai.......aap ich yahan sob se badey hai magar bibi bas hamarey se door raho zara.....
Bhirr ustaad
Guest

Do jodi laaliye kapdey to bas hai aur kuch nakko

by Radha » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Bhirr ustaad bhai, arey aap toh bhirr hogaye, yeh baat mere samajh mein nahi aayee khud ko Ustaad kahte ho, aur aurat to ghar ke bahar aane ko kehte ho! Agar ustaad hai toh ghar ke andhar jaao bahar bulakar badnaam na karo. Waise agar aap mere ko door rahna ka mashwara de raho, toh suniye,,,Khudaa jab dost hai , kyaa dushman se andeshaa, Hamaaraa kuchh kisii kii dushmanii se ho nahiin sakataa.
Radha
Guest

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 2 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}

{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
Mein mubai sata
Sata Mein Mubai
mubaisata.com
mubaisataa
o be laaliye
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.