Tuesday, 22 April 2025 »  Login
in

Shaadi karne ko hai tayaar

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Shaadi karne ko hai tayaar

by Radha » Wed Jul 10, 2002 2:35 pm

Dear freinds you know who is eager to get married, this is a request for him.
Jo bhi kehna chahe mujh ko kahta rahe sansaar,
Jahez ke khatir shadi karne ko hun mein tayyar,
Car agar laye toh ladki langdi bhi chalgayegi,
Daulat waali ho toh mujh ko Junglee chi chalgayegi,
VCR ke saath mein bhayya Kaani chi chalgayegi,
Shadi karke banna mujh ko daulat ka haqdaar,
Meri muflisa ka lag jaaye ab toh beada paar,
Aeysi ladki chahiye jiski lambi lambi Deenge ho,
Yah toh aeysi jiske naam pe 10, 15 buildeenge ho,
Aeysi ladki chahiye jiska baap Saudi mein rahta ho,
Kam se kam lakhoan Dollar jahez mein dene jaisa ho,
Kaam kaj to kuch bhi nahin barsoan se hun bekaar,
Mein hun akela mera nahi koi bhi gham qaar,
Mere aage pheeche kam se kam ho 15 Naukar,
Mujh ko badai dene aaye shaher ke saare Builder,
Apne bangley se saj dhaj kar jab mein niklun bahar,
Gate pey bas tayyar khadi ho ek Maruti motor,
Awaara ghardi ki mujh par kab tak ho phitkaar,
Darta hun andar na karde mujh ko thanedaar,
Koi jaadu mantar mujh ko sikado aeysaa,
Mein bhi chahun mera muqaddar ho Bhirr, Bhaimiya, Kulcha, Jaisa,
Maara maara kab tak bhatkun mein kismet ka maara.
Aeysa na ho mere yaaro marjaoun mein kuwanra.
Mein toh shaadi ko hun tayyar,
Arey sun lo mere yaar.
Radha
Guest
 

Shaadi karne ko hai tayaar

by Kulcha Hyderabadi » Wed Jul 10, 2002 6:40 pm

IN A LIGHTER VEIN:...Marriage is the truimph of imagination over intelligence. Second marriage is the truimph of hope over experience......Man is incomplete until he is married: Then he is finished.......Then there was a man who said, \"I never knew what real happiness was until I got married, and then it was too late.\".......When a woman steals your husband, there is no better revenge than to let her keep him!......At the cocktail party, one woman said to another, \"Aren\'t you wearing your wedding ring on the wrong finger?\" The other replied, \"Yes, I am, I married the wrong man!\"......A lady inserted an \"ad\" in the classifieds:\"Husband Wanted.\" Next day she recieved a hundred letters. They all said the same thing \"You can have mine!\"......Getting married is very much like going to a restaurant with friends. You order what you want then when you see what the other person has, you wish you had ordered that!.....
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Shaadi karne ko hai tayaar

by Chote-Ustaad » Wed Jul 10, 2002 8:06 pm

(Junglee chi chalgayegi, Kaani chi chalgayegi)... Radha ji.... Ye chi chi chi chi KYA HAI...Ye chi chi chi chi.....
Chi..Chi KA MATLAB \'I LAV YOU \' .. \'I LAV YOU\'.
Chote-Ustaad
Guest
 

Shaadi karne ko hai tayaar

by * » Wed Jul 10, 2002 8:16 pm

Saudia mein Dollar ! Aaain !
*
Guest
 

Shaadi karne ko hai tayaar

by Bhaimiya » Wed Jul 10, 2002 8:58 pm

Tajruba (experience) bol raha hey kya Kulcha bhai!lol - just kidding.
Bhaimiya
Guest
 

Shaadi karne ko hai tayaar

by Radha » Wed Jul 10, 2002 10:07 pm

Chote, yeh bacchoan ke khelne ki jagah nahi hai.
Radha
Guest
 

Shaadi karne ko hai tayaar

by Radha » Wed Jul 10, 2002 10:08 pm

Kyun kya kabhi Saudi Dollar nahi dekha, MISKEEN.
Radha
Guest
 

Shaadi karne ko hai tayaar

by Saira » Wed Jul 10, 2002 11:51 pm

Bhaio.....Shadi yek ladoo hai jo khaye pachhtae aur jo na khae voh bhi pachhtaye...behtar tu yehi lagta hai kha kar kyon na pachhtaya jaye LOLOL
Saira
Guest
 

Shaadi karne ko hai tayaar

by khajabi » Thu Jul 11, 2002 7:30 am

Radha G, from all among us, only Shahed is eager to get married (as far as i know thru this board), so is your request for him? if yes, than this is my request to him, \"Gham ke tofaan se guzar ne ka e\'rada hai kia, doob ke paar utar ne ka e\'rada hai kia\", \"biah ke baare me poocha to najoomi bola, shaaq se toot ke jhad ne ka e\'rada hai kia\", \"mere israar pe us ne ye kaha tang a\'a kar, aap ka khud\'kushi kar ne ka e\'rada hai kia\"...
khajabi
Guest
 

Shaadi karne ko hai tayaar

by hina » Thu Jul 11, 2002 9:27 am

Shahed bhai, aap ki is board par zaroorat hai.
hina
Guest
 

Shaadi karne ko hai tayaar

by Kulcha Hyderabadi » Thu Jul 11, 2002 1:10 pm

CHORA CHORI: (Sulaiman Khateeb)...Dulhan ki Maa:Bolo khala mizaaj kaise hain, kitne barson ke baad aayee ho, missee honton pey ankh mein kaajal, jaise paigham koyee layee ho, ungli nakhun ko kuch to nataah hai, apna apnon ke kaam aata hai......Dulhe ki Maa: Mere choray ko chori hona hai, mera chora to pakka sona hai, tumey dil mein zarra nakko sonchon, haath aaya so heera khona hai, chaar logaan mein iski abroo hai, jaise kewde ke ban mein khushboo hai, khulle dil ki hoon sab bataati hoon, baat pahlaich main sunaati hoon, tumey kaan to bhi ladtay bhaitenge, khullam khullach main bataati hoon, chora tirpat hai haur lulla hai, seedhi aankhi mein iske phulla hai, moonh po chechak ke khali daghaan hai, rang dambar se zarra khulla hai, naak naqshey ka kitta accha hai, mera baccha to bor baccha hai, jaako london se jhaaz mein aaya, sacchey baawa ka saccha beta hai......to be continued
Kulcha Hyderabadi
Guest
 



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 2 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
bolo Khala Mizaaj kaisa hai
paigam hydbadi ladki
najoomi bor
bolo khala mizaj kesa hai
bolo khala mizaj kaise
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.