Aap sub ko yeh bahut pyaari si nazm jo pakistan link mein chapi thi sunana chahoongi, unwaan hai,
GREENCARD. Newspaper mein ye aksar aata raha , Jis ko dekh dekh kar dil sub ka lalchata raha , Ek hasina bholi bholi dilnasheen woh mahjabeen , Lambi zulfein chashm aahoo gora rang chehra haseen , U.S.A. mein hai sukunath car bhi rakhti hai woh , Saath iskay ek green card bhi rakhti hai woh , Bus is ek baath nay mujh ko deewana kar diya , Apna bio- data photo bhi rawana kar diya , Baath pakki ho gayi aur phone par nikaah huwa , U.S.A. bhaijeingay tum ko hum say yeh waada huwa , Seat phir confirm huwi aur mein U.S.A. aagaya , Meray isteqbaal ko brother-in-law aagaya , Saath is kay thi meri woh shareek hayaath , Lang kha kar chal rahi thi leg mein thi koi baath , Yeh sonch kay mein chup raha rakhti to hai bangla wa car , Ek din ban jaayega apna bhi phir green card , Ghar mein pohncha wahaan tha koi bangla shaandar , Dedh kamron ka woh ghar tha na kitchen tha shaandar , Dekh kar is ghar ki halath dil mera ghabra gaya , Meri wife khush thi kay servant tho ghar mein aagaya , Doosray din mujh pe phir raaz aaisa khul gaya , Naqli zulfon ka woh jooda raath mein jab khul gaya , Chashm aahu ki tarah theen aankhen bhi bus naam ki , Ek thi masnuwi shaayed ek thi bus kaam ki , Phir bhi mein khush tha dil mein yahi ek aas thi , Mein citizen ban hi joonga dollaron ki pyaas thi , Baad mein shaamath jo aayi subah ho ya shaam ho , Night mein wife ki qidmath subah ghar ka kaam ho , Is par bhi ilzaam husband kaam kyoon kartay nahi , Naa bed tea daytay ho tum good morning kartay nahin , Itni zillath jo uthai dil mera ghabra gaya , Mein U.S.A. chodh kar apnay watan aagaya , Ab jab kabhi aqbaar mein ishtehaar aata raha , Bay saaqta mein yaaron ko aksar yeh samjhata raha , Yeh qwaab green card bhi janjaal hai ek jaal hai , Jo dekhnay mein dream hai samjho to ek wabaal hai , Ghaazi teri is baath mein vazan hai istedlaal hai , Logon ko gar samjha saka to ye tera kamaal hai .