Saturday, 13 September 2025 »  Login
in

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Ucchu Mian » Mon Jun 03, 2002 12:30 am

Mere Azeez Hyderabadi Bhaiyo : Kya aapko nahin lagta ke aaj kal hyderabad mein haseen chehre ka nazar aana jhadoo tare ke nazar aane key manind ho gaya hai. Kabhi kabhar qismat se kahin koi haseen chehra dikh jaye to lagta hai jaise barson baad kisi banjar zameen per chand paani ke khatre pade hon. Is shaher mein roz ba roz insaanon ka to betahaasha izafa ho raha hai lekin akela pan badta jaraha hai : Kyunke is bheed mein pehle jaisi apnaiyat nahin hai : Qusoosan ladkiyon mein eik ajeeb si kashish hoti thi - halanke unka libaaz kisi tarah se bhi tahzeeb ke daire se bahar nahin hota tha : Aaj kal woh baat kyun nahi hai ?? Kya Computer aur Science ki advancement hamari zindagi ko budmaza kar rahe hain : Science ka asar aaj hamari zindagi ke her shobay mein itna badh gaya hai ke hum aaj qudrati cheezon se mahroom ho jarahe hain : Taaza hawa, taaza phal, tarkari, doodh waghaira waghair ab eik qisse kahani ki tarah hain : Isi wajah se shayed hamari nasal ki nasho numa theek nahi horahi hai aur yehi wajah hai shayed hum aaj husn ko khoj rahe hain : Yeh mera apna khayaal hai , aapki kya raaye hai :
Ucchu Mian
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Bhaimiya » Mon Jun 03, 2002 12:30 am

Bhai Ucchu Mian aap ki raaye bilkul sahi hey. Pheley ki hasinaye khubsurat isliye dikthee thee kyon key woh sidey saadey kapdey, sida saada makeup, keesi ko dhekee toh bhi chup chup kar khidki key pardey ko zara sa hataker dekhtee thee. Aajkal ki ladkiyan key kapdey dehkiye unka makeup dehkiye aur mamla patney aur pataney ka bahot fast hogaya hey - aankhon sey aankhey mili, muskurahat ka tabadila huwa, phir hello aur chalo restaurants and pubs, ek din mein aasey free jesey barson ki jaan pehchan hey, phir picture dekhney gaye aur uskey baad aapko to malum kya huwa honga............ isee liye cherey pey sey ronak chalee gayee hey aajkal ki teen age ladki per sey (pheley mahobat youn hoti thee - Cheherey per banawat ka gussa, Aankhon say chalakta pyra bhi hai, Is shauq-e-ada ko kya kahiye, Inkar bhi hai iqraar bhi hai). Aajkal to sirf iqraar hi hey.
Bhaimiya
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Naz » Mon Jun 03, 2002 12:30 am

I guess both of you are still in the days gone by. The guys in those days were also very different. So the girls had to change, too, with the guys. I think you should take all this in a good way. I am sure the girls are the same. Your way of thinking and looking at girls needs to change drastically. The girls are the same as guys and have remained the same. The times have changed and we need to do the same with the time.
Naz
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Ucchu Mian » Mon Jun 03, 2002 12:30 am

With due respect to the young female population of Hyderabad the only question i am putting is where is the natural glow and chaste beauty gone these days : Be honest to yourself and then reply ? Don\'t you agree that girls in the recent past (may be 10-15 yrs ago) were more attractive and beautiful compared to todays: This is true to atleast me. And again this is what I think and I appreciate that I may be the lonely thinker in this respect. Anyway no hard feelings , take it easy . I don\'t know may be you are the one that fits in my category of beauty. Exceptions are everywhere.
Ucchu Mian
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Bhaimiya » Mon Jun 03, 2002 12:30 am

Naz: My comments applies to boys also.
Bhaimiya
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Kulcha Hyderabadi » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Ucchu Miyan aur Bhaimiyah - Mere bhaiyo, ab yeh umar is topic pay baat karne ki nahi hai bhai! I am sure our parents must have loathed the way girls looked about 10-15 years back! I guess, things change with time. Ask the youth of today, they will probably tell us the girls of that era (10-15 years before)looked really drab and boring.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Kulcha Hyderabadi » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Baat jab niklee hai us daur ke husn aur dilkashi ki to ek lateef aur dil ko choo lene wala shayr yaad agaya. Agar ijazath ho to apke saath is shayr ko share karoon! \"Jab kabhi, jab kisi chehre pey dekhi hai taaza bahaar\" - \"Dekh kar main teri tasveer purani roya\"
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Dhagan. » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Whoh haseenaie sangemarmar se bane jin ki muskurahat pe suraj ki damak sharmaye,Jis ki shaan mein Chaman ke phool jhuk kar salaam karen ab waise kadam hyderabad ki sarzameen par nahin padhte.
Sharm-o-haya mein jo kashish thi ab BE-HAYAYI mein nahin.
Dhagan.
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Ucchu Mian » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Kulcha Miyan , Aap ummar ki bat nakko karo. Yeh dukhne wali rag hai.. Baat ummar ki nai dil ki hai..aur main samajhtaun ke her aadmi ka dil hamesha taaza w tandarust hota hai..ummar ka asar is per bahot kam hota hai ..
Ucchu Mian
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Kulcha Hyderabadi » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Mere pyare ucchu bhai, mera matlab yeh nahi tha. What I meant was that every generation loves its own period. Agar ab hamey husn nazar nahin aa raha hai to is liye ke ab ham college nahi jatey, bus stand par nahin tahartey, aur husn ko woh nigah se talaash nahin kartey jo pahle kiya karte the. The likes and dislikes of each generation has been there since time immemorial. Agar hamey Saira Banu, Vyjantimala, Asha Parekh pasand the to apne Buzurgon ko Naseem Banu, Kamini Kaushal pasand the aur aaj kal ki generation ko Aishwarya Rai, Kareena Kapoor pasand hain. Husn aur Ishq ka khel har daur mein chala aur chalta rahega. Bas nazariyeh badal jatey hain. Allama Iqbal ne kaha tha \"Na woh husn mein rahi shooqiyan, na woh ishq mein rahi garmiyan\" This was written in 1935. What the poet found was that Husn o Ishq was not the same as it was when he was a young man! The cycle goes on. Manzil wohi hai pyaar ki, rahi badal gaye!
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Radha » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Hum waqt ke saat chal rahe hain,

hamaare jism kii uriyaanat pe mat hansanaa,
ke tum jo oodhe hue ho vo ridaa hamaarii hai,
hamaare saamane zeeb nahiin Guruur tumhein
jahaan pe baithe ho tum vo jagaa hamaarii hai
Radha
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by hina » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Waah ! waah ! Kulcha Bhai , kyaa sher arz kiya hai aapnay, bahut badhiya .Aap bahut hazir jawaab aur knowledgeble insaan maloom hotay hain . Kyaa bhabi bhi aapki tarah in sub cheezon mein interest rakhti hain ya nahin.Aap nay jo likha hai woh ekdum durusth hai .
hina
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Radha » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Uchhu bhai,
Hum bhi kah sakte hain,---- Ab na woh dour-e-sharab baqi hai na dour-e-shabab baqi hai=== Saari lazzatain qatam ho gayeen, ab in lazzatoon ka azab baqi
Radha
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Kulcha Hyderabadi » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Shukriya Hina Bahen. Apki is nawaazish ko sun kar mujhe Zouq saheb ka ek shayr yaad agay “Qismat hi se lachaar hun ai Zouq wa garna” – “Sab fan hun main hun taaq, mujhe kya nahi ataa” Apki bhabi, yeah shez a wonderful woman. Absolutely terrific. Bright, intelligent, humorous, has been a pillar of strength all these years. Shez a great wife, a doting mother for our children and above all a committed, caring and compassionate Bahu to my parents. They say behind every successful man there is a woman. I don’t know if I am successful or not, but, if I were to rewrite this phrase, I would definitely say that “Behind every happy and contended man, there is a woman”
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Bhaimiya » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Radha: Wellcome on fullhyd Bulletin Boards.
Aapka Bhaimiya (ex-udhas)
Bhaimiya
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Shahed » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

\'O\' mere bade shaadi shuda buzrugoun cum doston ...kyon dara rahe ho yaar mujhe is tarah .. Mai jald hi shaadi karne Hyd. jaane waala hoon.. Agar aap logon ke khayaalaat is tarah chalte rahe to mujhe apne programme ke baare mein dobara sonchana padega. Yaar daraaao mat yaar is tarah...
Shahed
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Bhaimiya » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Bhai Shayed: Yeh shaadi aiesi cheez hey \"jo is ko paya woh bhi pashtaya aur jo is ko na paya woh bhi pashtaya\" to mera aapko moshara hey key pakar pashtawo.
Bhaimiya
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Kulcha Hyderabadi » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Shahed bhai, ap khamaqa ghabra rahey hain. Is board par aisee koyee baat nahin kahee gayee jo apko shaadi se rokay! Hamari nek tamannaien hain apke saath. Phalo, phoolo aur khushiyan manao! Apki shaadi per sehra zaroor likhenge and padhenge...lekin waqt chahiyeh.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Bhaimiya » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Shahid bhai agar aap dawat diye to nawee sherwani nawa kurta, nawa pejama, romi topi and aur saleem shahi joota phen kar aayengey aur agar aap boley to walimey ka intezam bhi kariengey.
Bhaimiya
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Bhaimiya » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Aur yeh gana bhi gayiengey sub milkar \"Aaj merey yaar ki shadi hey, aaj merey yaar ki sahdi hey\"
Bhaimiya
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Shahed » Tue Jun 04, 2002 12:30 am

Thaaaanx Bhai logon.. Bahoot Bahooot shukriya aap logon ki hausla af zaaai ka...Inshallah zaroor mulaaqaat hogi, aur aap bhaiyon ki shirkat se mujhe behad khushee hogi... Lekin is board pe har koi ye keh rahe they ke haseenon ki khillat hai hyd mein,etc.etc. tou mai thoda sonch mein padh gaya tha, soncha hyd, ki jagah kisi aur jagah try kar loon... Lekin nai bhaaaaaaai hyd. ki baat hi kuch aur hai.. Khaas kar jab yeh alfaaz bade pyaar se ada hote hai..
\' SUNIYE \'.. Haaaaaaai mai mar jaawaaan...... Kaun kambaqt is Ada pe Fida na hoga. Well guyz I am talking freely on this board irrespective of age limits, since I donno anybody personally ... so please dont mind if any....Now something important... by this time we know eachother thru diff. boards.. So I request to Hina Di, Kulcha Hyd,Ucchu Mian,Pashu mian,Bhaimia.. & other friends to mail me on this address shaheds2002@yahoo.co.in ...... I am giving my temporary email id and after receiving your mails and after confirmation....you will get my reply with my permanent id ...and all of you know what should be done next...Love to all..
Shahed
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Hina » Wed Jun 05, 2002 12:30 am

Dear Shahed Bhai, Allah karay kay aapki shaadi jald ho aur woh aapkay qwabon ki shahzaadi ho.(ameen)Hamari duwayen hamesha aapki qushaal zindagi kay liye hain. Hum sub ek doosray ko nahin jaantay lekin phir bhi aaisa lagta hai kay bahut acchi tarah jaantay hain. Shahed bhai ek bahen ki haisiyath say batati chaloon kay shaadi ek zindagi bhar ka committment hai, jismay ek ladki apnay saaray qwaab balkay apnaa aap ek ajnabi kay hawalay kardaythi hai .Usko samajhna ,samjhana aur usay aap apni tarah kaa banana yeh aapka kaam hai .Shaadi shudah zindagi bahut acchi tareeqay say guzari jaa sakti hai lekin dono taraf say sacrifice aur compromise chahiye aur ek doosray ko understand karna zaroori hota hai.
Hina
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by saps » Wed Jun 05, 2002 12:30 am

right said, kulcha bhai!!
saps
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Saps » Wed Jun 05, 2002 12:30 am

Hina didi, aapne tho bahut achi baath kahi hain shaadi shuda zindagi ke baare main. Hum jaise logon ke liye achi seekh hain... shukriya...
Saps
Guest
 

Haseenaon ki qillat - Shaher-e-Hyderabad mein!

by Shahed » Wed Jun 05, 2002 12:30 am

I will remember this and do care for her, and thanx a lot Di.
Shahed
Guest
 

Next         

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 1 guest

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
apki bhabi.com Hyderabad
hyd ki ladkiyoun ki kahani
ladkiyoun ki nash o numa
hyderabad nazeem nawee
shaher-e-hyderabad
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.