by Shahed » Sun May 26, 2002 12:30 am
Bahoot Accha lag raha hai ye sab sun ke - A nice & real Flash Back. But aap log ek khaas baat pe tawajjo dena bilkul bhool gaye aur woh ye hai ki aap sab SCHOOL ki yaadein totally OMIT kar diye jo ki hamaare bachpan ka sab se eham hissa hota hai aur wahin se saare yaadoun ka silsila shuru hota hai , Bahoot se yaadein aur bahoot se khissey school se jude hote hai bachpan ke. Jaise doston se ladhna , phir dosti karna, teachers se naye naye tareeqe se punishments kabhi school dress par tou kabhi home work na karne par tou kabhi shoes per aur na jaane kya kya. Aur woh bhi kya waqt tha jab interval mein school ke bahar aana haath mein bas chand sikkey hote they aur usee mein tarah tarah ki cheezein khaana, woh bags mein ber , ganna ya kuch aur chupa ke class mein laana aur sabhee doston ko baantkar teacher se chupaa ke class mein khaana, nayee class mein jaate hi LEPAKSHI ke books bulk mein khareed ke laana aur unhein bade ehteraam se COVER chadhaana, naye naye colours ke pen khareedna aur badee safaai se 2-4 lessons tak books ki dekhbhaal karna - writing pe tawajjo dena aur baad mein sab light le lena, thode bade huve to kabhi kabhi mauka milte hai paise jama karke school ko PAT maarna aur Amitabh ki koi nayee picture dekhna, aur phir music ke saath aake school mein sab ko story sunana. Isee dauraan unke tiffins ke maze bhi le lena. Class mein shoor machaana aur phir teachers ki daanth sunna ya maar khaana, mauka milne pe class ya bathroom mein chup cigrettes pina. Aur phir sabse mithee aur dil ko chu lene waali yaadein exam ki tayyari aur exams likhna aur phir chuttiyon milne pe idhar udhar ghoomne ke programms banana. Yah bhi hamaare bachpan ka ek bada hissa hai. Lekin Yaar ab tou ye sab bas yaadoun mein simat ke reh gaya hai....................... Kaun jaanta tha ke aaj ke ye 10 - 12 dost jo din mein 5-5 ghante saath rehte jo apna saara bachpan aur ladakpan saath saath guzaare , aaj waqt aur halaat unhein ek doosre se hazaaron meel dor kar diya. Mere saare dost US,Saudi aur Canada mein settle ho gaye, mai bhi india se saudi chala aaya, Ab wahan hamaara koi bhi dost nahin hai ham sab bichahd gaye tinkoun ki tarah. Aur ab haal ye hai ke hame ek doosre ka chahra dekhe huve kayee saal ho gaye, kayee saal se ham ek doosre se gale nahin miley aur na hi haath milaaya, saath baith ke baat nahi ki .., lagta nahin ke ham phir kabhee ek saath mil payeinge apni baaqi zindagi mein. Aur ham mohtaaj hai to sirf phone aur NET ke jisse hamein ek doosre ka haal chaaal pata tou chal jaata hai. Lekin ham apne kisi bhi dost ki koi bhi khusi ya gham mein shareek nahin ho sakte. Kabhee kabhee ye sonch ke dil khush ho jaata hai ke kaash ham sab dost ek saath phir india mein mil jaaye aur kisi dost ke ghar grand party rakh ke sab milkey enjoy karein khoob naaachey gaaye aur shor machaaye, jab tak ye khayaali pulaav dimaagh mein pakte rehte chere pe ek meethee muskaan rehtee hai aur aankoun mein chamak si rehti hai, lekin jab ye pulaav khatm ho jaate hai tab aankh mein sirf aansoo aur dil mein kayee zakhm ubhar aate hai. Yahi sacchai hai,, ya shayad isee ko zindagi kehte hai. kuch yaad aa raha hai zaroor kehna chahoonga............................ \'Zindagi ke safar mein guzar jaate hai jo muqaaam... woh phir nahin aate ! woh phir nahin aaate \' ...\'Phool khilte hai...log milte hai, Phool khilte hai Magar Pathjhad mein jo phool murjha jaate hai woh bahaaron ke aane se khilte nahin, jeevan mein kuch log jo bichadh jaate hai woh hazaaron ke aane se milte nahin , Umr bhar chahe koyee pukaaara karein unka naam, woh phir nahin aate ... woh phir nahin aate. Kaaash ham waqt ko apni mutthi mein rakh paate.......Salaam!!