Ek nau umar sayed zada, seena kashida, nekh chalan aur seeda saada, lamba kam, pst zyada, husn ka dilvada, shaadi par amada, khubsoorat jawan, aali khandaan, arsey se pareshaan ke liye ek haseen masale hoor, nashey shababh mein choor, chasme maqmoor, chehre par noor, ba tameezh ba shaooor, ba hunar saleeqe mand, soum wa salvath ki paband, ba adab, ba haya, sabeqha sakoonat zila khogaya, na shoukh surqi, wa cream, mamooli taleem, meh jabeen, be had haseen, parda nasheen, pasta khdh, shayista kalaam, pyara sa naam, ajoobaye kayinaath, rafeeqe hayath dar kar hai, warna ZIndagi bekaar hai,
Maseri ya charpayi, rooi bhari razaayi, chnd zewer tilai, kuch kursiyan and mezh, bas is khadar jaheez. Ladka goya anadi hai, magar karobari hai, ek choti si dukaan aur mu mein zubaan rakta hai.
Mazeed baat cheet bal mushafa yah ba zariye lifafa, khat o kitaab pabandi raaz hai.
Dosto yeh arzoo dil ki awaaz hai,
Makaan number: 420(char sow bees)
Gali number: 9211 (nau do gyarah)
Hairaan chowk, pareshan manzil.