Wednesday, 10 September 2025 »  Login
in

baccha bolraa nakko bacchi old city ki hai !

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

baccha bolraa nakko bacchi old city ki hai !

by Bhirr Ustaad » Sat Apr 10, 2004 12:12 am

Wastadoun ki khidmat meiN Assalamlaikum !



Ek ghazal !



***************************************



paisa waisa accha hai to baawa raazi hai

baccha bolraa nakko bacchi old city ki hai



saalouN se jedaah me rehko kapDe seedhe hai

par baatouN mein to rangat purii old city ki hai



khalu ki seedi surat sey dhoka nakko khaao

dedh hushyaari unki poori old city ki hai



haalankey ke ab ghar to unka new city mey hai

taaka jhaaki ghooram ghaari old city ki hai



chetak ku makhmal ki gaddi, handle ku phunney

hai to samjho yeh barbadi old city ki hai



laal bushkot pe Wastadoun ke white patloon hai to

pakka samjho yeh wastaadi old city ki hai



shadiyoun mein pottiyoun ke sar po lal ribbin dekho

phir ye samjho pakka potti old city ki hai



kaike baataaN karraiN pasha, bhairi khaate kya

shaan tumare sheher ki saari old city ki hai





Wassalam



--Bhirr Ustaad
Bhirr Ustaad
Registered User
 
Posts: 2
Joined: Mon May 19, 2003 11:05 pm

Shaan hai old city ki ...!

by Happy Hyderabadi » Sat Apr 10, 2004 11:36 am

Bhirr Ustaad wrote:
Wastadoun ki khidmat meiN Assalamlaikum !

Ek ghazal !

***************************************


shaan tumare sheher ki saari old city ki hai


Wassalam

--Bhirr Ustaad




Wah wah Ustaad!



Salam,

Arz hai:



Imaratein kitte bhi ho

Charminar saari old city kich



Kaam kahaan bhi ho

Naam saari old city kich



Dilwale kahin bhi ho

Dil saari old city kich



Dimagwale jahan bhi ho

Hyderabadi shaan sari old city kich!



Wassalam





8) 8) :D :D :lol: :lol: :!: :!: :idea:
Build Heaven & Earth Links!
User avatar
Happy Hyderabadi
Level 1 Deity
Level 1 Deity
 
Posts: 6245
Joined: Fri Mar 05, 2004 8:40 am

by azazel » Sat Apr 10, 2004 2:17 pm

bahot khoob, Ustad n HH saab..

puraana shaher shaan hyd ki.. :!:
nolite arbitrari quia venerim mittere pacem in terram non veni pacem
User avatar
azazel
Level 1 Deity
Level 1 Deity
 
Posts: 5437
Joined: Wed Jan 28, 2004 8:26 pm
Location: Chaosphere

by ZC » Sat Apr 10, 2004 2:43 pm

oho :!:
ZEE: the Colossus
User avatar
ZC
Level 1 Lord
Level 1 Lord
 
Posts: 2023
Joined: Sat Dec 21, 2002 10:02 am
Location: Cloud 9

by BM » Sat Apr 10, 2004 4:48 pm

Bhirr Ustaad wrote:Wastadoun ki khidmat meiN Assalamlaikum !

Ek ghazal !

***************************************

Wassalam

--Bhirr Ustaad






Bahot khoob Bhirr Ustaad. Kahan the itne dinno sei :twisted:
User avatar
BM
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Re: Shaan hai old city ki ...!

by BM » Sat Apr 10, 2004 4:49 pm

Happy Hyderabadi wrote:
Bhirr Ustaad wrote:
Wastadoun ki khidmat meiN Assalamlaikum !

Ek ghazal !

***************************************


shaan tumare sheher ki saari old city ki hai


Wassalam

--Bhirr Ustaad


Wah wah Ustaad!

Salam,
Arz hai:

Imaratein kitte bhi ho
Charminar saari old city kich

Kaam kahaan bhi ho
Naam saari old city kich

Dilwale kahin bhi ho
Dil saari old city kich

Dimagwale jahan bhi ho
Hyderabadi shaan sari old city kich!

Wassalam


8) 8) :D :D :lol: :lol: :!: :!: :idea:






Bahot khoob HH.
User avatar
BM
Level 1 Star User
Level 1 Star User
 
Posts: 821
Joined: Tue Apr 29, 2003 2:06 pm

Ek Meri Taraf Se

by Tappebaz » Sat Apr 10, 2004 4:56 pm

Kya pasha tum logon bhi na...... kya kya ki baata'an karlere dekho...





aacha main to yahan bohat din ke baad likhroon. zara ghoor se suniye (nahi nahi padiye)



[i]kisi charsi bewade ki baatli ho tum

kya bemaar ho bahut patli ho tum

barson pehle howa koi kasoor ho tum

paid pe latka howa koi khajur ho tum



bin badal ke jaise barkha ho tum

khadi banti hai jis se woh charkha ho tum

kitni tareef karoun ke kya ho tum

ek hi kaafi hai wo jhatka ho tum



bewakoof ho bilkul anaadi ho tum

bina ghoday ki gaadi ho tum

poori ammavas ki shaam ho tum

bilkul choosa howa aam ho tum



galat disha mein nikli bijli ho tum

kabhi na mitne waali khujli ho tum

jise koi nahi dekhta woh cinema ho tum

bina nadey ke phisalta paijama ho tum



sara din padosin ko satati ho tum

gadhon ki kya kami hai jo gati ho tum

adh maray ko maarti pura ho tum

jo kabhi na baje wo tambura ho tum[/i]
Tappebaz
Registered User
 
Posts: 85
Joined: Sat Aug 16, 2003 6:54 pm

Re: baccha bolraa nakko bacchi old city ki hai !

by Portuguese Man-Of-War » Sat Apr 10, 2004 5:04 pm

Bhirr Ustaad wrote:Wastadoun ki khidmat meiN Assalamlaikum !

Ek ghazal !

***************************************
Wassalam

--Bhirr Ustaad


Welcome, Bhirr Ustad! I really enjoyed some of your other ones, especially Chulbuli Choti! Hope to read more from you (and hope to be able to compose like you!)!
User avatar
Portuguese Man-Of-War
Registered User
 
Posts: 272
Joined: Sun Mar 28, 2004 8:12 pm
Location: Hyderabad

Re: Ek Meri Taraf Se

by azazel » Sat Apr 10, 2004 5:22 pm

Tappebaz wrote:Kya pasha tum logon bhi na...... kya kya ki baata'an karlere dekho...


aacha main to yahan bohat din ke baad likhroon. zara ghoor se suniye (nahi nahi padiye)

kisi charsi bewade ki baatli ho tum
kya bemaar ho bahut patli ho tum
barson pehle howa koi kasoor ho tum
paid pe latka howa koi khajur ho tum

bin badal ke jaise barkha ho tum
khadi banti hai jis se woh charkha ho tum
kitni tareef karoun ke kya ho tum
ek hi kaafi hai wo jhatka ho tum

bewakoof ho bilkul anaadi ho tum
bina ghoday ki gaadi ho tum
poori ammavas ki shaam ho tum
bilkul choosa howa aam ho tum

galat disha mein nikli bijli ho tum
kabhi na mitne waali khujli ho tum
jise koi nahi dekhta woh cinema ho tum
bina nadey ke phisalta paijama ho tum

sara din padosin ko satati ho tum
gadhon ki kya kami hai jo gati ho tum
adh maray ko maarti pura ho tum
jo kabhi na baje wo tambura ho tum






waah waah, tappebaaz saab..

bahot khoob
nolite arbitrari quia venerim mittere pacem in terram non veni pacem
User avatar
azazel
Level 1 Deity
Level 1 Deity
 
Posts: 5437
Joined: Wed Jan 28, 2004 8:26 pm
Location: Chaosphere

Bahot khub ... Re: Ek Meri Taraf Se

by Happy Hyderabadi » Sun Apr 11, 2004 11:27 am

azazel wrote:waah waah, tappebaaz saab..
bahot khoob




Bahot khub, "band" bajadiye "Tappebaz" Sahab.



Arz hai:



"Tum kuchh bhi ho ...

Elekshanan ka taim hai

Sochna thik, kimati

Vote bhulna jana!"



8)



HH
Build Heaven & Earth Links!
User avatar
Happy Hyderabadi
Level 1 Deity
Level 1 Deity
 
Posts: 6245
Joined: Fri Mar 05, 2004 8:40 am

Kuch khaas nahi ....

by Tappebaz » Sun Apr 11, 2004 12:44 pm

acha miya main suna hyderabad main aaj kal election'aan ki bohat gad-bad-raan chal re kate.



kaiku to bhi laadke maar re saale. aur woh owaisi sahab ke kya haal chal hai suna hai aapne bete ko form pe lare ???? woh beta bhi duboo-khoo hai. dekh lena khud bhi dubega aur sab ko lekar dubega....
Tappebaz
Registered User
 
Posts: 85
Joined: Sat Aug 16, 2003 6:54 pm



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 3 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
khoob choosa
www hyderabad bacchi
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.