Tuesday, 22 April 2025 »  Login
in

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Bhirr Ustaad » Fri Jun 28, 2002 12:30 am

na duniya mein dhalaa huN mai

na iski mujh ko chaahat hai

tum apney rang mey dhaalo

mujhey tum saadgi dedo

deewarein meri dushman hai

nahin yeh bolti mujhsey

karo azaad tum mujhko

mujhey tum gashtagi dedo

mai apni laash laaya hoon

mai pur-umeed aaya hoon

mujhey tum dekh kar hasdo

zaraa si zindagi dedo

Bhirr Ustaad
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Radha » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

jiinaa azaab kyuu.N hai ye kyaa ho gayaa tujhe
kis shaKhs kii lagii hai bhalaa bad-duaa tujhe

bananaa pa.Daa hai aap hii apanaa Khudaa tujhe
kis kufr kii milii hai bhalaa ye sazaa tujhe
Radha
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Kulcha Hyderabadi » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

\"Apne haathon ki lakeeron mein basa le mujh ko\" * \"Main hoon tera to naseeb apna bana ley mujh ko\" - \"Mujh se tu pooch ney aaya hai wafaa ki maani\" * \"Yeh teri saada dilee mar na daley mujh ko\" - \"Khud ko main baant na daloon kahin daman, daman\" * \"Kar diya tu ney agar mere hawaley mujh ko\" - \"Baadaa phir baada hai main zaher bhi pee jaaon Qateel\" * \"Shart yeh hai koyee ankhon se pilaye mujh ko\".....(Qateel Shafaai)
Kulcha Hyderabadi
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Bhirr Ustaad » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Salam Kulchey bhai

mai Yahan apni Nazm post kara to aap jawaab mein aisi bhairi maartey Qateel shifai ki Ghazal post karkey, kya bhai jiyo bolte nakko....
Bhirr Ustaad
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Kulcha Hyderabadi » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Meri Jaan, tum jiyo hazaaron saal aur har saal ke din ho das hazaar.....bahri nai hai partner, apki dil ko choo lene wali nazm par mujhe Qateel saheb ki ghazal yaad agayee...is liye yeh jurrat kiya....warna, \"Ustaad se ho mujhe purkhaash ka khayal - \"Yeh taab, yeh majaal, yeh taaqat nahin mujhe\"
Kulcha Hyderabadi
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Bhirr Ustaad » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Haan Sher ..........ab zara mazaa aaya ,to guftagu shagird aur ustaad ke mode me rakhte huwe....aagey ek masla yeh hai ke aakhri sher kuch aisa hai \"Shart yeh hai koi baahoun mein sambhaley mujhko\"......ab aap ka irada peeney ka tha to maafi chahtoun, magar marhoom qateel shifai bichare kuch aur chaahrey they.........AApki Hausla afzahi ka shukriya
Bhirr Ustaad
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Kulcha Hyderabadi » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Bahut Khoob Ustaad....yep...\"shart yeh hai koyee banhon mein sambhaley mujh ko\"....Thanks for the correction...Rahi baat peeney ki toh \"Maikadey band huve, dhoond raha hoon kab sey\" - \"Tu kahan hai mujhe ankhon se pilaney waley\"....yahi confusion tha!
Kulcha Hyderabadi
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Bhirr Ustaad » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Salam Kulchey Bhai,.......Tasawwur kuch ajeeb hai, takleefdey hai, aur poochiyey to jacha nahiN......yani yeh key mai yeh tasawwur nai kar sakroun ke Ek Kulcha woh bhi Hyderabadi, kisi ki aankhoun se mai-noshi kaisa karinga........nahari key katorey me dub key phula hua kulcha zehen me aara. phir tasawwur aur bigad jaara kyoun ke yeh kulcha katorey mein sabit bi nai hai, chura hua hai....aur is nahari kulchey ki chakkar mein mai phas ke reh jaroun ,..... sher ka matlab kaanki ghus jaara..
Bhirr Ustaad
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Radha » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Bhirr bhai, ek mashwara hai------- Aadmi aadmi ko kya dega, Jo bhi dega wahi khuda dega ! == Zindagi ko qareeb say dekho, Iska chehra tumhay rula dega
Radha
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Radha » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Kulcha bhai,---- sab ghar baithe hi pilenge to maiqhaano ka kya hoga\" \"nazaron se guzara ho jaaye to paimaano ka kya hoga....\"
Radha
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Bhaimiya » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Mujhey takht wa taj ki aarzoo na duwa key umar daraz dey, Merey sir ko aur buland kar merey dil ko aur guzaar dey, Mera seena noor hee noor ho mere jism toor hee toor ho, Kabhi altafakat kar is khadr kabhi is taraf bhi nawaz dey, No juhkey kabhee woh jabeen meeley na ho khatam aiesa safar koyee, Jo kafafoton pey chala karey woh nigah aaeena saaz dey, Yeh sukoot perda saaz kya woh pukarta hey agar suney, Hum tan neegah baney koyee to jhalak woh shobeda baaz dey, Tera naam dard zaban raha tera zikr mashal jaan raha, Mujhey kuch tameez nahi rahee to niyaz dey key majaaz dey, Teree justajoo mein bagola mein agar chey raasta bhola hoon, koyee simt jis pey na band ho wahi jazba talag wa naz dey, Mera shouk sard na ho kabhi, mera khoon zard na ho kabhi, Nayee fikr dast daraaz dey, nayee tarz saher taraaz dey.
Bhaimiya
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Bhirr Ustaad » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Waah Bhaimiya ..........Mehfil loot liyey aap...mubarak ho
Bhirr Ustaad
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Shahed » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

bhai logon aap logoun ke bouncers dekh ke mere ku reh reh ke ekich baat yaad aareee........ Na tu zameen ke liye, hai na Aaasmaan ke liye ... Tera wajood hai bas ... Ek daastaan ke liye.
Shahed
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Bhaimiya » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Suhkriya Bhirr Ustaad.
Bhaimiya
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Bhaimiya » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Shahed: Bahut khobb, hamarey bouncer pey aap chawa to chawa, chekka mar diye na, bhai aaienda chotee short maro bhai yaani ek ya do run.
Bhaimiya
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Kulcha Hyderabadi » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Ji Radha ji, aadmi aadmi ko kya dega....\"Khuda ki deyn ka Moosa se poochiyeh ahwaal\" - \"Ke aag leney ko jayien payambari mil jaye\" (Ameeri Meenai).....Beshak, dene wala Khuda hi hai.
Kulcha Hyderabadi
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Enter The Dragon » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

I love you all guys - Kulcha Bhai, Bhaimiya, Shahed, Bhirr Ustad, Hina, Radha - Kya sexy likhte ho aap logon - padkey bahut mazaa aajata hai bhai - Jiyo hazaro saal mere dosto - aap ka naya mehaman
Enter The Dragon
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Enter The Dragon » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

I love you all guys - Kulcha Bhai, Bhaimiya, Shahed, Bhirr Ustad, Hina, Radha - Kya sexy likhte ho aap logon - padkey bahut mazaa aajata hai bhai - Jiyo hazaro saal mere dosto - aap ka naya mehaman
Enter The Dragon
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Bhaimiya » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Enter The Dragon: Welcome to the club (Aaye aaye aap hee ki kamee thee is mehfil mein).
Bhaimiya
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Bhirr Ustaad » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

Aao hamare diragon bhai,khush aamdeed.....waisey aapka naam dekhey to khayaal aara kahain aap shukoor bhai ke padosi to nai hai laal darwaaze waaley jinki surat bilkul Bruce Lee ke waisi thi ?? haahaha...mazakh karroun..Welcome!!
Bhirr Ustaad
Guest

Ek nazm: Zaraa si zindagi dedo

by Radha » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

Dear Dragon, Welcome to the board, even you can try to post sher\'s.
Radha
Guest

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 2 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}

{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
muje or jindgi dedo
dosto ka shukriya nazm
A perda naseeb apne bhai ke laya
nazms ghazal qateel sefy
sexynazm
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.