Tuesday, 22 April 2025 »  Login
in

Shayerana Mehfil

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Shayerana Mehfil

by Saira » Wed Jul 03, 2002 1:25 am

Radhaji, Khajabi, Bhaimiyan, KC (Damam), and Lala, AADAB / Khajabi and Bhaimiyan ke kahne par main ne yeh nai mehfil ka aaghaz kiya hai. Ummid ke aap sab is mehfil se lutf andouz honge./ Jane us shaqs ko yeh kaisa hunar aata hai...shaam hoti hai tu ankhon main utar aata hai
Saira
Guest

Shayerana Mehfil

by Bhirr Ustaad » Wed Jul 03, 2002 1:32 am

Haal-e-dil unsey chupaayeiN to chupayeiN kaise

HonT seeta hoon to aankhoun se ubal jaata hai
Bhirr Ustaad
Guest

Shayerana Mehfil

by Imran » Wed Jul 03, 2002 12:50 pm

Sar se paaon tak khumaar hain aap,
sau bahaaron ki ek bahaar hain aap.
Imran
Guest

Shayerana Mehfil

by Radha » Wed Jul 03, 2002 1:08 pm

Miltaa Nahin Dhoondhe Se To Kya, Mujhko Yaqeen Hai,
Nazren Lagaaye Mujh Pe Woh Kahin Na Kahin Hai,
Sajde Kiye Tu Jaata Hai Duniya Ko Raat Din,
Nafrat Nahin Kya Tujhse Kare Teri Jabeen Hai,
Radha
Guest

Shayerana Mehfil

by Afzal Siddiqui » Wed Jul 03, 2002 1:24 pm

Maain is mehfil main pheli bar shamil ho raha hoon.
\"TUMHARI YAAD KE JAB ZAKHM BHARNE LAGTE HAIN\"
\"TUMHE KISI BAHANE YAAD KARNE LAGTE HAIN\"
Afzal Siddiqui
Guest

Shayerana Mehfil

by Saira » Wed Jul 03, 2002 1:36 pm

Bohot khoob!!!!!!!! Radha, Bhirr aur Imran. Welcome Afzal sahab. Mere khayal main dousra sher kuchh is tarha hai \" isi bahane tumhain yaad karne lagte hain\". I may be wrong, help me pleaseeeeeeeeeeee.
Saira
Guest

Shayerana Mehfil

by Bhaimiya » Wed Jul 03, 2002 1:39 pm

Anjana hi nikla aaqir jo anjana tha, Dil ko apna khawab tamana kyon dhurana tha, Kya khawaish thi bila aaqeer jo dil ko ley dubhi, Kon tha aaqeer dil ney jis ko apna jana tha
Bhaimiya
Guest

Shayerana Mehfil

by Bhaimiya » Wed Jul 03, 2002 2:27 pm

Koh gaya hey jo kuhar mein us shaks ko paana chahoon mein, Khawabon key godham ki teh sey dhund key lana chahoon mein, Ek basti mein ek makaan key darwazey ki chokat tak, Sir key bal bhi jana padey to jana chahoon mein
Bhaimiya
Guest

Shayerana Mehfil

by Zoya » Wed Jul 03, 2002 2:39 pm

Guzri baatein bhi zindagi hain , adhoori baatein bhi zindagi hain, khayaal rakhna adhoori baatein bhula naa dena.
Zoya
Guest

Shayerana Mehfil

by Imran » Wed Jul 03, 2002 2:42 pm

Shukriya Saira
Imran
Guest

Shayerana Mehfil

by Saira » Wed Jul 03, 2002 9:02 pm

Ishq ke bhi kuchh aadab hua karte hain..jagti ankhon mai bhi khwab hua karte hain..har yek ro ke dikhaye yeh zaroori tu nahin..khush ankhon main bhi sailab hua karte hain
Saira
Guest

Shayerana Mehfil

by Saira » Wed Jul 03, 2002 9:04 pm

Welcome Afzal Siddiqui. Imran: vah vah kya sher kaha hai aapne..bohot khoob
Saira
Guest

Shayerana Mehfil

by Bhirr Ustaad » Wed Jul 03, 2002 9:26 pm

Ustaad-e-ZeeshaN Meer Taqi Meer apney andaaz-e-yagana meiN kehtey haiN ....

Na dekhaa Meer-e-Awaara ko Lekin

Woh Baarik Naatawaan sa HooBahoo thaa
Bhirr Ustaad
Guest

Shayerana Mehfil

by Bhaimiya » Wed Jul 03, 2002 11:19 pm

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hay
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hay
Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hay
Bhaimiya
Guest

Shayerana Mehfil

by Bhaimiya » Wed Jul 03, 2002 11:26 pm

Apne haathon se yun chere ko chhupaate kyon ho, Mujh se sharmaate ho tou saamney aate kyon ho, In se vaabastaa hai jab mera muqaddar, Phir tum mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho, Roz mar mar key mujhe jeene ko kahte kyon ho, Milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho
Bhaimiya
Guest

Shayerana Mehfil

by Saira » Thu Jul 04, 2002 12:31 am

Kabhi yeh zaam ke tu mera hai faqat mera hai..kabhi yeh dar ke tu mujh se sargaran tu nahin..kabhi yeh dua ke tujhe sare jahan ki khushiyan milein..kabhi yeh khaof ke tu mere baghair khush tu nahin
Saira
Guest

Shayerana Mehfil

by Bhirr Ustaad » Thu Jul 04, 2002 2:46 am

Mehfil ki qidmat meiN Khud ki likhi hui ek Ghazal pesh kar raha hoon ..........arz kia hai

aaiyey ab to mire laachaar ho jaane ke baad

zindagii se bhii mire bezaar ho jaane ke baad

phir mujhey yaad aa gayi us kii kamar ki woh lachak

raah ke yun MoD apr baldaar ho jaane ke baad

choR kar HooroN ko jannat se nikal aaye makeeN

tere jalvoN se zameeN gulzaar ho jaane ke baad

saadgii se bolii Laila, ‘yeh to bedil hai Huzoor!’

ishq meN Majnu ka seenaa taar ho jaane ke baad

Khud ko maiN majrooh kar luuN us ko rahm aa jaaye gar

dil kaa bahte Khoon se singaar ho jaane ke baad

saamne baiThaa thaa woh lekin nazar aataa na thaa

us kaa aanchal beech meN deewaar ho jaane ke baad

jism jal uTThaa miraa mere hii dil kii aag se

us ke jalwe lazzat-e-aGhyaar ho jaane ke baad

zabt TooTaa, ashq nikle, cheeKh niklii zor se

dam bhii niklaa us galii se paar ho jaane ke baad

kuchh nahiiN maaluum hai, jaaN aa gayii yaa jaaN gayii

iKhtitaam-e-intizaar-e-yaar ho jaane ke baad

dekhiye vo bevafaa kis samt jaataa hai ‘Mueen’

mere sachche ishq se bezaar ho jaane ke baad

Saira Aapa aur doosrey sab Zaroor bataiyey ke kaisa lagaa..............Aajiz
Bhirr Ustaad
Guest

Shayerana Mehfil

by Ravi Rajan » Thu Jul 04, 2002 2:48 am

Tum aavara ho, tho sharif hum bhi nahi, tum bewafa ho, tho wafayi hum ne seekhi hi nahin, manzil pe aake kehto ho shaadi shuda hoon mai, kaan khol ke sunlo \'Kuwara mai bhi nahin\'
Ravi Rajan
Guest

Shayerana Mehfil

by Saira » Thu Jul 04, 2002 2:39 pm

Moin Bhai, vahhhhhhhhhhhhh vahhhhhhhhhhhhh
bohot khoob
Saira
Guest

Shayerana Mehfil

by Radha » Thu Jul 04, 2002 3:26 pm

Bhirr Ustaad,
zabt TooTaa, ashq nikle, cheeKh niklii zor se,
dam bhii niklaa us galii se paar ho jaane ke baad,

Kya kahne, bahut khub. Jeete Raho.
Radha
Guest

Shayerana Mehfil

by Bhaimiya » Thu Jul 04, 2002 4:28 pm

Aaien yeh Moin Bhai kon hey bhai.
Bhaimiya
Guest

Shayerana Mehfil

by saira » Sun Jul 07, 2002 1:20 am

Aapko nahin pata Bhirr Ustad ka taqallus \"Mueen\" hai.
saira
Guest

Shayerana Mehfil

by Bhaimiya » Sun Jul 07, 2002 2:03 pm

Han Saira baat mein pata chala jab zara ghor sey pada. Bhai Bhirr Ustaad maafi chata hoon gustaki kee.
Bhaimiya
Guest

Shayerana Mehfil

by Kulcha Hyderabadi » Sun Jul 07, 2002 3:14 pm

Wah Wah Wah....Bahut Khoob. Kya kahne Bhirr Ustaad...Akhir Ustaad, Ustaad hi hota hai! ---- really wonderful. Ek dum firsht kilaas!
Kulcha Hyderabadi
Guest

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 2 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}

{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
taar meer hyd
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.