by Bhirr Ustaad » Thu Jul 04, 2002 2:46 am
Mehfil ki qidmat meiN Khud ki likhi hui ek Ghazal pesh kar raha hoon ..........arz kia hai

aaiyey ab to mire laachaar ho jaane ke baad

zindagii se bhii mire bezaar ho jaane ke baad

phir mujhey yaad aa gayi us kii kamar ki woh lachak

raah ke yun MoD apr baldaar ho jaane ke baad

choR kar HooroN ko jannat se nikal aaye makeeN

tere jalvoN se zameeN gulzaar ho jaane ke baad

saadgii se bolii Laila, ‘yeh to bedil hai Huzoor!’

ishq meN Majnu ka seenaa taar ho jaane ke baad

Khud ko maiN majrooh kar luuN us ko rahm aa jaaye gar

dil kaa bahte Khoon se singaar ho jaane ke baad

saamne baiThaa thaa woh lekin nazar aataa na thaa

us kaa aanchal beech meN deewaar ho jaane ke baad

jism jal uTThaa miraa mere hii dil kii aag se

us ke jalwe lazzat-e-aGhyaar ho jaane ke baad

zabt TooTaa, ashq nikle, cheeKh niklii zor se

dam bhii niklaa us galii se paar ho jaane ke baad

kuchh nahiiN maaluum hai, jaaN aa gayii yaa jaaN gayii

iKhtitaam-e-intizaar-e-yaar ho jaane ke baad

dekhiye vo bevafaa kis samt jaataa hai ‘Mueen’

mere sachche ishq se bezaar ho jaane ke baad

Saira Aapa aur doosrey sab Zaroor bataiyey ke kaisa lagaa..............Aajiz