Tuesday, 22 April 2025 »  Login
in

Ghar kab aa-o-gey

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Ghar kab aa-o-gey

by Bhaimiya » Wed Jul 10, 2002 5:22 pm

Shahed baba: Upper ka board dekho Radha ney aapkey liye banaya hey. Aapkey jawab ka intezar hey, magar jawab tagda chachiye.
Bhaimiya
Guest
 

Ghar kab aa-o-gey

by Shahed » Wed Jul 10, 2002 7:53 pm

Accah bhaimia apni pareshaani mere kandhe pe daal re..Chalo koi baat nai mai dono(Saira & Radha) ka jawaab ek saaaaath de raha hoon . Aagey aap Sambhaal lena..Aapke bolne ke baad hi mai ye likha..
--For Saira----
Gar faisla tum karlo tou raaste khud ba khud nikal aayeinge -
Iraadoun se tumhaare sab raaste Ghar ki Ore Mud jaayeinge!!
Gar tum apne Ghar ko intna na chahte hote -
To jism ko yahan aur Dil ko wahan na chor aayte Hote !!
---For Radha-----
Udaas kyon Na Ho-oon - Mera tou sab kuch us paar hai ,
Ma,Mathi, aur ek hamsafar - se milne ko Dil beqaraar hai !!

Lad raha hoon apne aap se - kash ma kash mein hai ye zindagi, Bas ek tasavvur se Apne Des ke - Cha jaati hai dil pe bekhudi !!

Andheroun se niklo na hame - Darte hai kahi roshni Raas na aain ,
Phir Gar roshni se nikaale gaye - tou ham jaain tou kidhar jaain !!

Jo chor gaye they beech rah mein - Aaap is khadar unko ruswa na karey ,
Museebat ko aate dekh khafle ki taraf - Badh ke laga liya usey apne galey !!

Azma ke dekho tou ek baar - ham tum ko Yaqeenan bahut Bhaayeinge
Doosron ka pata nahin par \'Ye dil waale dulhaniya le jaayeinge\' !!

Hame na daulat ki chah hai , aur na hai dahez ka junoon
Ek Acche Hamsafar ke Saath se - Aa jaaye Kharaar Dil ko mil jaaye Sukoon !!
Shahed
Guest
 

Ghar kab aa-o-gey

by Bhaimiya » Wed Jul 10, 2002 9:14 pm

Bahut khoob Shahed, magar aap jawab Radha ko Board \"Shadi karney ko hai tayyar\" per dena tha yahan nahi.
Bhaimiya
Guest
 

Ghar kab aa-o-gey

by Radha » Wed Jul 10, 2002 11:16 pm

Hum Saaqi nahin hain to ban jayenge, Aap hukum to keejiye, jaam bhar jayenge,
Radha
Guest
 

Ghar kab aa-o-gey

by Radha » Wed Jul 10, 2002 11:18 pm

Bahut shukriya, bhaimiah, Kulcha Hyderabadi and shahed.
Radha
Guest
 

Ghar kab aa-o-gey

by Saira » Wed Jul 10, 2002 11:37 pm

Teri yaadon ke chiraghon ko jalaya har shaam... teri tasveer ko seene se lagaya har shaam / mangi hai Khuda se tere milne ki dua...baith kar tanha haathon ko uthaya har shaam
Saira
Guest
 

Ghar kab aa-o-gey

by khajabi » Thu Jul 11, 2002 7:06 am

Shahed, Badmashi hai ustaad, wakhai, loogoun ke ahsaas se nai khael na. kaiko bole to apan bi try kare the ek baar, See Maa, bolke. MAGAR MAZE KI BAAT TO YEH HAI KE MODERATOR BHI SERIOUS THE US C\'MA KE LIYE, FOURAN POSTING HATA DIYE MERI.... DAEKH LIYE MODERATOR, KIYA HOA.... HAMARE KO HATA RAIN THE RASTE SE....
khajabi
Guest
 

Ghar kab aa-o-gey

by khajabi » Thu Jul 11, 2002 7:09 am

light leo kulcha sait, magar ek sabaq hai daekho sub ke liye.... BHAINS PANI ME RAKH KE SIN\'GOUN PE KAROOBAR NAI KARNA.
khajabi
Guest
 

Ghar kab aa-o-gey

by Ucchu Mian » Thu Jul 11, 2002 6:39 pm

Agar abhi tak nain mile to jalaane (chiraag), lagaane (tasveer to seenay se); utthane (milne ki dua ke liye, haath) ka time badal kar dekhiye.. asal mein unu din bhar aap light lerain bolke nai milrain.....

(Saira .. sorry, I am taking the liberty to joke with you..hope u wouldn\'t mind)
Ucchu Mian
Guest
 

Ghar kab aa-o-gey

by Saira » Fri Jul 12, 2002 11:12 pm

Arre bhai Uchhu miyan, aap bhi bus. zara samjha tu kijiye. Voh ashaar kisi shaqs ke liye nahin kahe gaye the voh tu mere shaher Hyderabad ki yaad main kahe gaye the HAHAHAHAHAHA.
Urdu shaeri ki yehi to achhi baat hai aap ashaar ke mutlab ko jis taraf chahe mood sakte hain.
Saira
Guest
 

Previous                

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 1 guest

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
mere saaki ko najre uthane to do jitne
gol ghar kab bana tha
Hydrabadi gey
How to say this is in English.. Ghar kab aaye ho phir
radha phitch whitsap hd
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.